samandar ka baazoo thaamay

Iss tarap ka koi ma’yaar to ho, ke jiss taraf bhi shokhi-e-khumar chhalkay
ussee mor ki aashnaai se pehlay, main khud hi apnay boseeda ansoo-on
ko poonch loon ga. Yehi tarap to hai baaqi veerangi main, usee viraangi
main ke jisse chaahaton ki giraft main sona paray ga. Unheen chaahaton
ki shanaakht karke tum bhi chalo aur hum bhi chalain ge. Kaheen door ki
aawaaz ke taa’ba go haun, kissee shakhs ke baaton ke muntazir hon, ke
shaayad yunhin talaash ki iss ghari se, shaayad koi lahu ka qatra tapak na
jaye. Aur yunhin samandar ka baazoo thaamay, main muntazir rahoon ga.

This entry was posted in Poetry.

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s