behisee ki tajalli ka koi waqt muayyin to naheeN
beKhudee ke ta’ayyun se Khauf aata hai.
jub lafz-e-pawan raakh ko sulga na sakay ga
uss tapish-e-be-hausla se Khauf aata hai.
kaun keh sakta hai aag mumkin hai ya ke naheeN
havis ki iss Khush fehm ravish se Khauf aata hai.
lo aa gaye saamnay, aankhen bhi haiN be qaaboo
is saaKht ki wehma-gehmi se Khauf aata hai.
ash ash ke samandar haiN, wah wah ki qataaraiN
kumbaKhtee-e-ta’arruf-e-be-sabab se Khauf aata hai.
Wah! Bohot khoob.
(Aadab + Arz) * 10