salaaKhon ki yaktarfi

kya shub-o-roz ki munafiqat ki aazurdgi ki 
                  mumaaniat ka koi halka phulka sa,
                  seedha saadha sa hul mil sakay ga, ya phir se muNh moR 
ker hum Khalish ke seenay may ja ghusaiN ge? 

ke ab tak meray lahoo ka zewar taRap ke 
                  tasveer tak raha tha, darindagi-e-
                  tareeKh ki uss ko kya Khabar thi, salaaKhon ki yaktarfi 
ki uss ko kya Khabar thi.

magar wo lamha guzar chuka hai, 
                  aur ab woh behiss ghaRi ki 
                  behisee ka waqt poora hua hai; subh-e-ummeed ye keh ke 
saakit ho chuki hai.