ik bhikaari mazaar se thoRi door, dopehar
ki sangdaar shuaaoN se bhiRa hua
andar kisee darwesh ki boseeda haDDiyoN
ka Dher zameen me gaRa hua
beech kashkol maiN, kuChh sikkoN aur
rupoN ka ik halka raqs racha hua
ishq naheeN to na sahee, yeh raunaq-e
kashkol kisee mu’jizay se kum hai?