kya shub-o-roz ki munafiqat ki aazurdgi ki mumaaniat ka koi halka phulka sa, seedha saadha sa hul mil sakay ga, ya phir se muNh moR ker hum Khalish ke seenay may ja ghusaiN ge? ke ab tak meray lahoo ka zewar taRap ke tasveer tak raha tha, darindagi-e- tareeKh ki uss ko kya Khabar thi, salaaKhon ki yaktarfi ki uss ko kya Khabar thi. magar wo lamha guzar chuka hai, aur ab woh behiss ghaRi ki behisee ka waqt poora hua hai; subh-e-ummeed ye keh ke saakit ho chuki hai.
Very nice.
kefiyat taari hui ya na hui, nahiN pata, lekin “very nice” chalay ga.
Kaifiyat taari honay mein waqt lagta hai ….the words have to seep in…..sometimes it takes a re-reading to bring it on 🙂
aap jitna chahain waqt lagaaen, hum muntazir rahen ge.