shirk aur tum

wajah be wajah, tum hum Dug-mug, Dug-mug
tarah be tarah, hum tum, rah guzar aur shaam

maza be maza, Khauf-o-Khatr, yahaaN aur yahaaN
matlab bila uzr, ma’ani bila Khauf-o-jabr, wahaaN

qatra ba qatra, silsala-e-nashr, yuNheeN juNhee
lafz be harf, iss taraf aik shaam aur rah guzar

maiN aur mera merapun, subh-e-kerb, dukh bila husn
dukh bila huzn, rah guzar shaam ki tarah Dug-mug

ab aur aik shaam jis rah guzar ki taraf gaamzan
nahiN aur nahiN, kub talak sirf shirk aur tum?

jis taur se

jis taur se baiThay ga aaNgan may khaRka hua chehra
jis simt se do baazoo aaeN ge is paar
jis tarah simTay ga meri aawaaz ka bikhra hua Ghubaar
jis shauq se ThukraeN ge hum shub ke khareedar.

yehi to lutf ki shaaKh ka gehwaara kehlaae ga
yeheeN pe tarz ke ulloo pe paRha jae ga qaseeda
yuNhee ab simt ki rut ka bajaeN ge hum Dhol
yeheeN pe neend ki humjoli ka ubhray ga aqeeda.

Khauf ki aasteen

Khauf ki aasteen hai ke bhala shak ka gareebaaN 
dard ka khareedar kare kya jub thum jaae meezaan

yuN ruKh ki taRap sulgaa rahee hai shub ki Khamoshi
juN sabr ka pehloo kay nishaanay ka hua imkaan

ab roz-e-hashar taak rahe ho baRi shiddat-o-hararat se
kab aaKhri mashki ki maTTI ko uChaalay ga ye insaan

reh reh ke jabr-e-imaamat seh ke jo hum beThay
kis jurrat-e-hikmat ko uThaaeN sar-e-armaan.