subah phir honay ko hai kumbakht dopehar honay ke baad
shaam ab thumnay ko hai phir se qeher honay ke baad
shaikh jee ro bhi chuko ab qehqahaa liye bohat
aankh num bhi kar chuko tum itna sonay ke baad
raah takte takte thuk gaye hum thakan ka kya kaheN
jo bhi kehnay ko tha hum sun chukay kehnay ke baad
dopehar bhi Theek hai per do nafil ki bheek hai
shaikh-eeyat Thaan li ik nafil paRhnay ke baad
kya qatal gaahoN ki manzil shab per hoti hai khatam
kya wuzoo ka karobaar garm hoga sehar honay ke baad.