agar ye dauR tujhay daraye aur
har zard pattay ka rus rulaye, to
miTTi ke bartan ki tarah hawa ki
namee ko jazb kiye ja aur phir
uss namee maiN namak ki mehak ki
aawaaz ko, lalkaar ko, kisi rahguzar
ki nazar kar ke kisi bekhabar ko
khabar kar do ke shayad wo muskuraaye.